Monday 30 January 2017

Time table of inter mediate board exam

             WELCOME TO READERS.
    BOARD EXAMINATION-2017

                  TIME TABLE
SUBJECT.       DATE.         TIME
HINDI Ist.   16-march-17 2:00-5:15
HINDI IInd.   18-march-172:00-5:15

PHYSICS Ist. 21-march-17 2:00-5:15
PHYSICS IInd 23-march-17 2:00-5:15

CHEMISTRY Ist. 25-march-17 2:00-5:!;
CHEMISTRY IInd.28-march-17 2:00-5:!

BIOLOGY Ist. 30-march-17 2:00-5:15
BIOLOGY IInd.01-april-17 2:00-5;15

ENGLISH Ist. 13-april-17 2:00-5:15
ENGLISH IInd.19-april-17 2:00-5:15

UPLOADED BY:MOHAMMAD JAVED
VILLAGE:BABHANI          
COLLEGE: SHIVPATI INTER COLLEGE SHOHRATGARH SIDDHARTH NAGAR.

                      Thanks for read.

Monday 9 January 2017

Awlad husain urf munna bhai

NAME: Awlad Husain.
VILLAGE: Pipri Maharajganj kapilvastu Nepal
OCCUPATION: Security guard of malasiya.
SPOUSE: Imdad Husain, Ahmad,munna,shamid.
FATHER IN LAW NAME: Aish Mohammad.
BROTHER IN LAW NAME:MOHAMMAD JAVED (Jamal Ahmad).
UPLOADED BY: JAVED RABBANI.
GMAIL ID: rabbanijaved4 @gmail.com

Wednesday 4 January 2017

Post about aids by javed babhani

AIDS kya hai?
Aids ek vishesh prakar ke virus se utpann hone wala rog hai jisme manushya ka uparjit partirakshan tantra samapt hone lagta hai .partirakshan tantra samapt ho jaane se byakti ke sharir me ek saath kayi rog utpann hone lagte hain .parinaam swaroop byakti ke  Sharir me ek saath kayi rogon ke lakshan dikhai dene lagte hain .ek saath utpann kayi rogon ke lakshano ke samooh ko syndrome kahte hain. Atah wah syndrome Jo partirakshan tantra samapt ho jaane ke karan utpann hota hai use uparjit partiraksha apoorna syndrome (acquired immunodeficiency syndrome) AIDS kahte hai.

Manushya ka partirakshan tantra(BODY IMMUNUTY).
Manushya ka partirakshan tantra lymphocytes namak koshika se banta hai .yah ek prakar ka WBCs hai.lymphocytes koshikaayen do prakar ki hoti hai T4 lymphocytes and B lymphocyte .T4 lymphocyte roganuo and partijano par sidhe akraman karke in he nasht karte hai aur hamare sharir ko vishaanu,kawak,jiwaanu and cancer se bachata hai. T4 lymphocyte ke koshika kala par ek vishesh ka grahi protein pay a jata hai isliye ise CD4 lymphocyte bhi kahtein hain.
(HISTORY OF AIDS).
San 1983 me France ke scientist monteignier and San 1984 me USA ke scientist Gallo be aids ke virus ko sarwapratham Africa me paaye jaane wale hare bandaro me dekha .is khoj ke bad adhik scientist ka manna hai ki aids ke virus ka udbhau africa se hua.is sambandh mein america ke harwards university ke scientist hawards esex ka manna hai ki aids ka virus Africa ke zere namak isthan par PAYE jaane wale hare bandaro se San 1960 mein africi manushyon mein and San 1970 me american paryatko me pahuncha Jo africa jaaya karte the.
Khoj(INVENTE).
AIDS ko sarwapratham america ke Newark sahar me hatai namak is than par ek samlaingic samoohon me paaya gaya ye log nasha ke aadi the.partirakshan tantra samapt ho jaane ke karan ye log kayi rogon se grashit the inme khaskar pneumonia and skin cancer tha jaiknaau namak naujawan is sammoh ka pratham vyakti tha jismein aids dog ke lakshan aspasht roop se dekhe gaye. Jiski mirityu julai San 1981 me newyark sahar ke saint Vincent hospital me hua.montaignierr and gallo ki help se aids ke virus ki structure banai hai.san1986 me virus namkaran ki international cometti(ICVN) me us virus ko HIV naam diya.
(STRUCTURE OF HIV).
HIV lagbhag 100 nano meter ke vyas ka kan hai  yah ek retrovirus hai arthath isle kendriya bhag me ek sootri RNA ke jinom PAYE jaate hai.
Yah virus do parmukh bhago se Millar baba hota hai Jo nimnalikhit hain.
(1). Kendriya bhag ya krod.
(2). Capsid.
(3). Lipoprotein khol.

Kendriya bhag ya krod: yah sabse bhitari bhag hai.is bhag me ek sootri RNA ke do sootra PAYE jaate hai jinse kuchh injaaim any chipke hote hain kaise partivarti transcriptase, intigrase and protease.
Capcid: yah madhya bhag hai Jo kendriya bhag ko chaaro tarag se ghere rahta hai.yah protein ka Nana hota hai .use nucleicapsid bhi kahte hain  yah do parton ka bana hota hai iska bahri part ko bahri bisfalkiya kawanch and bhitari part ko bhitari shankwakar kawanch kehtein hain.
Lipoprotein khol: yah sabse bahri parat  hai Jo jantu koshika ke koshika kala ke saman hai.yah phospholipid bilayer ke roop me note hai.inse kuchh nobs lage hotein hai Jo glycoprotein ke bane note hai.yahi ghundiya HIV ki t4 lymphocyte ke koshikkoshika kala se jodne ka kaam karti hai.
PATHOGENESIS of HIV:
Kuchh cells aise bhi hai jinki koshika kala par cd4 namak ek vishesh prakar ka grahi protein pays jaata hai .usi prakar ke cells par HIV ka sankarman hota hai because HIV sarwapratham host cell ke koshika kala par present cd4 namak grahi protein se Jud jaata hai .cd4 namak grahi  protein t4 lymphocyte ke koshika kala par paaya jaata hai .isliye HIV ki target cell t4 lymphocyte hoti hai. Sarwapratham HIV ka sabse bahri khol arthath lipoprotein khol t4 lymphocyte ke koshika kala par present cd4 namak grahi protein se chipak jaata hai .HIV ka lipoprotein khol t4 lymphocyte cell ke bahar rah jaata hai prantu HIV ka nucleovapsid ya capsid t4 lymphocyte ke koshika darabya me parvesh jar jaata hai ab  t4 lymphocyte ke koshika darabya me nucleocapsid ka hal apghatan hota hai jisse ek soitri RNA koshika darabya mein swatantra ho jaate hai .sarwapratham koshika darabya me ek soitri RNA ek soitri DNA mein badsl jaata hai and punha ek soitri DNA ka duigunan hota hai jisse ek soitri DNA DUI soitri DNA me parivartit ho jaata hai.ab ds DNA t4 lymphocyte ke kendrak me pahunch jaata hai aur uske DNA se jud jaata hai aur iska lipyantran hota hai jisse do prakar ke rna anu ka nirmaan hota hai. Jinme se ek prakar ka RNA anu jinom ka nirmaan karta hai aut diosra jinom ke Charo or PAYE jaane wale nuclei capsid ke liye protein and kuchh injaaim banata hai.is I prakar phir nuclei capsid blood me parvesh jar jaata hai. Kafi samay baad HIV shankarmit vyakti ke saliva aanshu paseene aur kendariya tantrika tantra ke seribrospinal me manusya ke veerya mahilaon ke unisharav me pahuncha.
TRANSMISSION OF HIV:
Ejk manushya se doosre manushya me HIV kaise fail sakta hai .
(1).Sexual inter course: AIDS ka virus shankarmit manushya aur istri ke  jannango me taral padartho me paya jaata hai aur sex ke dauran asani se swashth manushya ya istri shankarmit ho jaata hai.
(2).Samlangik sahvaas
HIV ki jeevan shaili...
Jab kisi manushya me HIV parvesh karta hai to uske prarambhik awastha se 3-12 mah tak koi rog ke lakshan nahi dikhai dete hain prantu 70-80% logo me partirakshan tantra shamapt ho jaane ke karan HIV ke shankarman ke 2-3 hapte baad rog ke kuchh kakshan dikhai dene lagta hai Jo kuchh samya baad samapt bhi ho jaata hai. Ab laghbhag 3-12 varsh tak koi rog ke lakshan nahi dete hai aise vyakti ko HIV shankarmit vyakti kahte hain. Lagbhag 3-12 varsh baad shankarmit manushya aids se peedit ho jaata hai is prakar HIV ke shankarman se poorna vikshit AIDS tak ke beech ke awadhi ko WINDOW PERIOD(window awadhi). Kahtein hai .